نماهنگ «خادم الحسین» با نوای نزار القطری و میثم عباس (کلیپ، صوت، متن) | ویژه اربعین حسینی
نماهنگ «خادم الحسین» با نوای نزار القطری و میثم عباس
به مناسبت فرا رسیدن اربعین حسینی، نماهنگ دلنشین «خادم الحسین» با نوای نزار القطری و میثم عباس را به مدت 9 دقیقه تقدیم عاشقان ارباب بی کفن آقا اباعبدالله الحسین علیه السلام می نماییم.
جهت ورود به حسینیه مجازی ضیاءالصالحین کلیک کنید
متن نماهنگ «خادم الحسین» با نوای نزار القطری و میثم عباس
Khidmat Guzarane Karbobala
Kehte Hain Tumse Ye Shahe Huda
Haq e Mohabbat Ada Kardiya
Tum Mujhse Raazi, Mai Tumse Raazi
Dete Hain Tumko Dua Murtaza
Raazi Hongi Tumse Fatima
Ahsant Khadim al Hussain
Tum Hamari Shaan Ho, Tum Bhi Maizbaan Ho…
Zairon Ki Khidmat Par Mamoor Ho Tum
Iss Azeem Naimat Se Mashhoor Ho Tum
Karbala Ki Ye Fiza
Keh Rahi Hai Marhaba
Ghazi Derahe Hain Hausla… Ahsant Khadim al Hussain
Jo Najaf Se Jaate Hain Paidal Haram Ko
Tum Sahara Dete Ho Har Ahle Gham Ko
Jabaja Sabel Hain
Ishq Ki Daleel Hain
Ehtemaam Aab aur Ghiza…
Har Qadam Moakib Jo Tumne Banaye
Jo Safar Se Thakjaye Araam Paye
Ho Koi Mareez e Gham
Ya Zaeef e Mohtaram
Sabko Baant-te Ho Tum Dawa
Nabeena Zair Ki Beenayi Tum Ho
Mazoor Zair Ki Besaakhi Tum Ho
Is Qadar Hujoom Mai
Derahe Ho Rahatain
Kyun Na Zairon Ki Ho Sada
Arabic Verse by Mulla Nazar
Sada Dete Hain Shabbir…Halabikom
Banadoonga Mai Taqdeer
Chale Aao Ae Zawar
Mere Gham Ke Talabgaar
Masayib Se Na Ghabrao
Dar e Ghazi Pe Ajao
Qadam Qadam Karain Ata
Barhaate Jayen Hausla
Dekharahe Hain Raasta
Tumhare Ishq Pe Fida
Zairon Ki Nalain Bhi Jorte Ho
Jab Tum Is Fareeze Se Moo Morte Ho
Khoob Naukri Hai Ye
Qalb Ki Khushi Hai Ye
Hai Nijaat Ka Ye Raasta
Ki Hai Shahrahon Pe Khidmat Guzaari
Mausamo Ki Shiddat Mai Bhi Pursadari
Din Ho Raat Ho Ya Shaam
Apne Kaam Se Hai Kaam
Boli Haar Maan Kar Hawa
Bachon Mai Bhi Aayi Adaat Tumhari
Naslon Ko Ye Baat Tumne Sikhaadi
Matam o Buka Karo
Tum Bhi Marsiya Parho
Tumse Bhi Kahaingi Syeda
Khadimeen e Karbal Ki Jo Naukri Hai
Mazher Ki Mesum Ki Khwahish Yahi Hai
Khadimo Mai Naam Ho
Aisa Intezaam Ho
Humse Bolain Shah e Karbala
افزودن دیدگاه جدید